Door Ufq Detaa Hai Aawaazain Mere Soye Hue Jazbaat Ko
Is Ufaan Main Machlatain Hain Kitne Naghmain Nikal Aane Ko
Diwaanaa Kiye Daitee Hai Hai Mujhko Soz-E-Tanhai Aur
Khyaalon Ka Bojh Zehan Pe Barta Jaataa Hai
Yeh Maqaam Kaisa
Ki Khyaal Lafaz Bantay Bhi Nahin Aur Martay Bhi Nahin
Bus Waqat-E-Tanhai Aur Bojhil Hua Jaataa Hai
Door Door Tak Hai Sannaataa Dil-O-Dimaagh Pay Chaayaa Huaa
Bus Aatee Hai Ufq Say Wahi Dard Bhari Aawaaz
Haan ! Shayud Yeh Aawaaz Mujhay Hosh Main Laa Day
Jazbon Ko Jagaa Day Lafzon Ko Banaa Day
Aur Shayud Phir Say Tanhaai
Bojh Na Reh Kar Pursakoon Saath Ho Jaayay
Ki Jiska Muntzir Rehay Mera Wajood Meray Khyaal Aur Main