Door Kahin Registaan Mein Maine Ek Phool Ko Dekha Thaa
Pyaas To Lagi Thi Bahut Par Paani Ko Bhool Main
Us Kee Taraf Doda Thaa Kai Baar Pyaas Nee Roka
Dimaag Nee Bhi Toka Par Mein Dodta Rahun
Aisa Dil Ne Kahaa Thaa Raah Mein Pareshaani Bhi The
Charon Taraf Dhul Bhi Thi Par Phool Ko Dekhkar
Main Sab Kuchh Bhoola Thaa Paas Panucha To Dekha
Uske Saath Ek Kaanta Tha Todne Kaa To Man Hua
Par Kaante Kaa Dar Tha Pehle Socha Laut Jaon
Jo Bhi Kuch Dekha Tha Se Main Bhool Jaon
Par Dil Kahan Maana Tha Dekhta Raha Use Paas Se
Niharta Raha Use Paas Se Aane Ka To Man Hua
Par Khushboo Ne Roka Tha Paagal Sa Ho Gaya Main
Deewan Ho Gaya Jab Aante Se Haath Bacha Kar
Maine Phool Ko Chua Tha Chode Hee Mere Vo
Phool Bhi Muskaraya Mujhe Laga Jaise Vo
Mere Liye Hi Khila Tha Phir Kuch Sochh Kaar Maine
Apna Haath Badaya Tha Khoon To Nikla Mere
Par Kaanta Toota Ha Phool Ko Paakar Main
Man Hi Man Muskaraya Mil Gaya Jaise Vo
Jiski Talaash Mein Tha Mujhe Laga Jaise Bujh Gayee
Is Janam Kee Nahin Janam Janam Kee Pyaas
Jabse Phool Mere Paas Tha