Do Qadam Saath Chalna Kisi Ka Manzil Sa Laga Mujko,
Pathron Ki Ibadat Karnay Wala Saksh Pagal Sa Laga Mujhko
Phoolon Ka Bistar Bhee Raat Bhar Chubta Raha Mujhay Gair Ka,
Mere Yaar Ka Kanto Bhara Bistar Bhee Makhmal Sa Laga Mujko
Tere Diye Zakhmo Pay Marham Laganay Wala Masheea,
Musifo Ki Bheer Main Bhee Wo Akela Qatil Sa Laga Mujhko.
Dunia Ki Roonko Main Khokar Khud Ko Bhool Janay Kay Baad,
Na Janay Tere Ghar Ka Sanata Kiyon Mehfil Sa Laga Mujhko.
Jab Tak Door Thaa Tujhsay Bhut Khush Thaa Teri Hasi Ko Dekh Kay,
Tere Dil Main Jhanka To Tera Bhee Hall Apnay Dil Sa Laga Mujhko…
Umar Bhar Doobnay Dar Say Sagar Ka Naam Bhee Na Liya Humne,
Na Janay Teri Aankho Ka Majhdhar Kiyon Sahil Sa Laga Mujhko.
Tere Saath Guzray Lamho Ki Khamoshi Yu Khamosh Kar Gai Mujhy,
Tanhai Main Sanato Ka Chalna Bhee Hulchal Sa Laga Mujhko….
Koi To Rishta Zaroor Hoga ‘Veer’ Ka Tujhsay O Ajnabee,
Jo Tere Naam Kay Saath Apna Nam Mukamal Sa Laga Mujhko