Do Kadam Chalke Rukh Gaya Hoon Aaj
Tha Toh Ek Paka Musalman Par Sharab Peete Rehgaya Hoon Aaj
Zindagi Ko Gata Tha Apni Nazam Samaj Kar
Bessuri Nikli Yeh Nazam Toh Dusron Ko Gate Dekh Raha Hoon Aaj
Sach Ke Aine Main Parchai Dekli Khudki Jab Toota Aina Jhoot Ka
Toote Hue Aine Pe Chalke Khoon Se Kalam Ki Sihai Bana Raha Hoon Aaj
Odli Hai Palkon Ne Ansuon Ki Chadar
Iss Chadar Ko Saja Dia Hai Dard Main Doobe Barf Se
Isiliye Andhere Ki Tandhak Main Marr Raha Hoon Aaj
Sanson Ko Tham Ke Khada Hoon Aag Ki Chatan Pe
Jala Kar Khud Ka Lahu Usse Dikha Raha Hoon Aaj