Do Kadam Chal Kar Saath In Rahon Se Ajanabi Ho Gaye
Khwabo Ki Duniya Main Rahate The
Aaj Sari Duniya Se Bekhbar Ho Gaye
Khate Jo Likhe The Jajbaton Main Bahkar
Bankar Wo Khusbu In Fizaon Main Bah Gaye
Muskrahat Ka Sabab Jo Hota Thaa Kabhi
Ban Kar Kante In Haathon Ko Chubho Gaye
In Aansoaun Ki Keemat Kabhi Aansu Hua Karti Thi
Ab To Bankar Ye Pani Zaya Ho Gaye
Kaun Kare Is Duniya Ki Fikar
Jab Khud Se Bekahbar Hum Ho Gaye
Apane Lagne Lage Dard Ke Saye Bhee
Jakham Jo Apane Se Ho Gaye
Rakhakar Yaadon Ko Apane Kareeb
Apani Gumnam Hasraton Ke Daman Main Hum So Gaye