Do Aise The Jinhe Aapna Kehte The
Ek Jigar Tha Ek Chaak-E-Jigar Hua Karta Tha
Bhai Kehkar Ke Bulaata Ek Jigar Humko
Ek Humdum Tha Jis Se Pyar Hua Karta Tha
Bahut Aachi Thi Yeh Duniya Jisko Kehte The
Raat Aur Din Din Aur Raat ‘Mast’ Hua Karta Tha
Phir Ek Baar Huyi Ek Khata Humse
Teen Dil Roye Aur Toofaan Si Aahat Bhi Huyi
Humne Maana Tha Ki Naadani Ka Tha Pal Aapna
Zindagi Ko Magar Humse Shikayat Si Huyi
Jigar Bhi Has Ke Ban Gaya Waaf-E-Humdum
Humdum Ko Us Jigar Se Mohabbat Si Huyi
Rehte To Aab Bhi Wahi Hai Usi Kuche Mein
Kucha-E-Dil Ki Magar Aapni Yeh Halat Si Huyi
Bhul Jaaon To Magar Kis Shaqs Ko Bhulun
Ek Jigar Tha Ek Chaak-E-Jigar Hua Karta Tha
Aab Aakela Hoon Aakela Hi Chala Jaaunga
Kaun Kya Tha Kaun Kya Hua Karta Tha
Ek Jigar Tha Ek Chaak-E-Jigar Hua Karta Tha