Diya Dhoka Aisa Mujhe Mere Charaghar Ne
Bujh Hi Gaya Tha Ye Chirag Meri Zindagi Ka
Tamaam Umr Peete Rahe Sharab-E-Gham
Phir Bhi Nahi Aaya Kyun Mazaa Mausiki Ka?
Samadar Mein Bhatakta Reh Gaya Main Pyaasa
Kya Pata Kya Sabab Hai Meri Is Bebasi Ka
Bata Tu Hi Aye Khuda Kaise Rahoonga Main Khush
Gala Ghonta Hai Apne Haathon Se Maine Khushi Ka
Dil Ko Lagaya Hi Tha Ke Sab Aazmate Chale Gaye
Samajh Mein Aab Aya Ke Badla Milta Hai Kya Dil-Lagi Ka
Loota Mujhe Kya Kahoon Kaise In Zamane Ke Logoon Ne
Aab Nahi Karsakta Main Bharoosa Kisi Bhi Aadmi Ka
Har Ek Taraah Ke Gunahoon Se Hoon Mahfooz Aise
Ye Sab Hai Asar Sirf Aur Sirf Teri Aashiqi Ka
Nazar Kuch Bhi Nahi Aata Par Har Taraf Ujala Hai
Andaaza Laga Sakte Ho To Lagaoo Meri Bekhudi Ka
Nukhta Chini Karte Rahein Hai Sab Mujhpe Aye Naa
Kya Karoon Main Jo Sahara Na Loo “Ab Shayri Ka