Din Raat Kay Aanay Jaanay Main
Dunya Kay Ajaib Khanay Main
Kabhi Shishay Dhundlay Hotay Hain
Kabhi Manzar Saaf Nahin Hotay!
Kabhi Suraj Baat Nahin Karta
Kabhee Taray Aankh Badaltay Hain
Kabhi Manzil Pichay Rahti Hai
Kabhi Rastay Aagay Chaltay Hain
Kabhi Aasain Toor Nahin Charteen
Kabhi Khudshay Pooray Hotay Hain
Kabhi Aankhain Dakh Nahin Sakteen
Kabhi Khawab Adhuray Hotay Hain
Ye Sab Sahih Ha Laikin
Aashoob Kay Manzar Naamay Main
Din Raat Kay Aanay Jaanay Main
Dunya Kay Ajaib Khanay Main
Kuch Saaya Karti Ankhoon Ka
Paman To Dikhai Datay Hain
Hathon Sa Agarchy Door Sahi,
Imkan To Dikhai Datay Hain
Haan, Rait Kay Is Durya Say Udhar
Ik Pairoon Wali Basti Ka
Unwan To Dikhai Datay Hain
Munzil Say Kosoon Door Sahi
Pur Dard Sahi Ranjoor Sahi
Zakhmoon Say Musaafir Choor Sahi
Pur Kis Say Kahain Ay Jaanay Wafa
Kuch Aisay Ghaw Hotay Hain
Jinhain Zakhmi Aap Nahin Dhotay
Bin Roy Hoi Aansoo Ki Tarha
Sinay Main Chupa Kar Rakhtay Hain
Aur Saari Umer Nahin Rotay
Nendain Bhi Muhaya Hotti Hain,
Supnay Bhi Door Nahin Hotay
Kyun Phir Bhee Jaagtay Rahtay Hain!
Saari Raat Nahin Sotay
Ab Kis Say Kahain Ay
Jaanay Wafa, Yai Ahlaywafa
Kis Aag Main Jaltay Rahtay Han,
Kyon Bujh Kar Raakh Nahin Hotay