Din Bhar Kadi Mehnat Karte
Har Raat Rukha Sukha Khakar So Jaate The
Bada Pyar Tha Donon Me Shaayad
Tabhi To Mushkilon Me Bhi Muskuraate The,
Khaas Sundar Na The Chehre Unke
Bas Ek Doosre Ko Dekh Kar Jiye Jaate The
Mai Itne Sab Par Bhi Bechein Tha
Wo Kuchh Na Paakar Bhi Khulkhilate The
Unke Thahaakon Ki Aawaajein Sunta Tha Mai
Wo Aksar Paanv Dabaane Ke Nambar Lagate The
Koi Bhed Na Tha Wahaan Aadmi-Aurat Ka
Ham Parhe-Likhe Unke Aage Bone Nazar Aate The
Phir Suna Ke Ek Roj Wo Is Safar Se Hi Gujar Gaye
Do Dinon Se Bhukhe The Wo Shaayad
Or Maut Ke Aage Bikhar Gaye
Shaayad Unke Kisi Thekedaar Ne
Phir Unka Khoon Paseene Sa Bahaaya Tha
Ek To Bhookhe The Wo Pehle Hi
Or Us Roj Inka Begaar Bhi Na Mil Paya Tha
Sunte Hain Ke Majboori Ke Chalte
Wo Mara Hua Ek Kabootar Hi Kha Gaye
Jeher Ban Gaya Wo Bhojan Unka Or Wo
Akhbaar Ke Ek Kone Me Jagaah Paa Geye