Dilli Kaa Woh Bheed Bhara Chawk
Jahan Laalbatti Mein Kat-Te Hain
Poore 2 Minute, Naa Kamm Naa Juaada.
Ye Kewal 2 Minute Hi The
Jo Bahaut Kuch Kehkar Gaye They Mujse,
Jinhe Nazar Andaaz Karna Bhaari Parh Gaya Tha.
Lakri Kii Patti Mein Rengta Wo Aadmi
Jiske Paiir Ko Kaun Sa Haadsa Le Gaya
Woh Khud Bhii Nahi Sochna Chahata Tha.
Uske Mail Se Bhare Haath
Mere Saamne Faiil Chuke Tthey,
Jinki Maang Thi Bas Ekk Rupya.
Saamne Se Bhaagkar Pahncha Wo Kishore
Jhatpat Gaadi Mein Kapra Maarta Hua
Ummeed Laga Raha Tha 2 Rupey Kii,
Aur ‘Evening News’ Kehkar Shor Machaata
Woh Baccha Bech Raha Tha Akhbaar,
Jabki Khud Anjaan Tha Har Likhaavat Se,
Woh Maasoom Kahan Jaan Paaya Kii
Woh Desh Ke Satta Palat Kii Khabar Ko
Bas Ekk Rupey Ke Kagaz Mein Bech Raha Hain,
Jisse Parhkar Na Jaane Kitney Log
Bina Qeemat Ke Hee Aagey Barhjaate Hain.
Naariyal Bechti Woh Choti Bacchi
Jiska Ekk Haath Thaali Liye Tha
Aur Doosre Se Ekk Baccha Thaamey Hue
Fir Rahi Thi Aisi Tapti Dhoop Mein
Jahan Uske Geeley Naariyal Tak
Har 2 Minute Mein Sookh Rahe Tthey.
Kya Yahan Har Aadmi Meri Hee Tarah
Isse Nazar Andaaz Kar Aagey Barhraha Hain?
Yadi Haan, Tow Kamm Se Kamm
Mera Bharat To Mahaan Nahin Hain.