Dilee Armaan Hai Dekhoon Jidhar Bhi To Nazar Aaye
Haqeeqat Mein Nazar Aaye Tasawwur Mein Nazar Aaye
Sanam Ki Baahuoun Mein Neem Bey-Hoshee Ka Aalam Tha
Dua To Bahut Ki Thee Hosh Mujh Ko Ab Na Fir Aaye
Na Hai Taaseer Jo Tujh Ko Karey Majboor Aaney Ko
Ki Jazbah Ho Jo To Aaye Kaheen Bhi To Idhar Aaye
Binaa May Key Suroor Itnaa Hai May Hotee To Kya Hota
Baraabar Aarzoo Hotee Ki Saqee Dhaltaa Jaaye!
Majazee Waayadaa Thaa Haqeeqee Hotaa To Kyaa Hota
Ki Too Aataa Shabaab Aataa! Kahaan Tak Kyaa Kahaa Jaaye
Na Mujh Mein Woh Jawaanee Hai!‚  Na Mujh Mein Woh Rawaanee Hai
Haqeeqat Jaantaa Hoon Mein Ki Too Aaye To Kyoon Aaye
Tamannaa Hai Ki Too Ho To Na Pyaalaa Ho Kabhi Khaali
Piyuun Jee Bhar Piyoon Par Pyaas Badhtee Hi Chalee Jaaye
Udhar Jab Beykhudee Mein Chaahtaa Hoon Too Nazar Aaye
Nazar Aaye To Soonee Rah Key Patthar Nazar Aaye
Tumhain Choo Kar Laboun Ko Aaj Haasil Hai Nayee Hastee
Bahut Hi Bey-Qaraaree Hai ‘Abd’ Tum Kyoun Nahi Aaye