Dil Usska Dukha Ker Maine Kya Paya
Aansun Ke Samander, Tanhai Ka Saya
Dil Usska Dukha Ker Maine Kya Paya
Ek Shaam Humne Apna Aashiyana Jalaya
Her Shaam Aashiyane Ka Matam Manaya
Dil Usska Dukha Ker Maine Kya Paya,
Kitni Sadiyon Se Main Intzaar Kerta Raha
Na Hi Maut Aayi Mujhko Na Hi Wo Aaya
Dil Usska Dukha Ker Maine Kya Paya
Aansun Ke Samander‚  Tanhai Ka Saya
Jiske Milne Ne Khushi Di Thee Jamane Bhar Ki
Usski Judaai Ne Mujhe Umar Bhar Rulaaya
Dil Usska Dukha Ker Maine Kya Paaya
Aansun Ke Samander, Tanhai Ka Saya
Maine Her Uss Shaks Se Faansla Banaye Rakha
Jissne Apna Kehkar Mujhe Seene Se Lagaya
Dil Usska Dukha Ker Maine Kya Paya,
Aansun Ke Samander, Tanhai Ka Saya
Na Gaye Magar Phir Bhee Yahi Kaafi Hai Karan’
Ussne Khuda Bana Ker Tumhe Ghar Mein Bulaya
Dil Usska Dukha Ker Maine Kya Paya
Aansoon Ke Samander, Tanhai Ka Saya