Dil Usko Pahchaan Gaya Ho Jaise
Apni Ghalati Maan Gaya Ho Jaise
Bachne Ka Imkaan Gaya Ho Jaise
Maqtal Mein Nadaan Gaya Ho Jaise
Phir Mud Mud Kar Dekh Raha Tha Mujhko
Uska Hi Armaan Gaya Ho Jaise
Sannate Bhi Goonj Rahe Hein Dil Mein
Ghar Ka Sab Samaan Gaya Ho Jaise
Deewaron Se Dhoop Sarakti Hai Uun
Aane Wala Mehmaan Gaya Ho Jaise
Uske Aage Kah Na Saka Haal E Dil
Tham Koi Toofaan Gaya Ho Jaise
Ab Mein Hoon Tanha Na Use Koi Gham
Dono Ka Ahsaan Gaya Ho Jaise
Duniyadari Seekh Gaya Mein Thodi
Wo Bhi Sab Kuchh Jaan Gaya Ho Jaise
Tab Se Ab Tak Roz Bhulata Hai Dil
Ulfat Mein Imaan Gaya Ho Jaise