Dil Pe Jo Tere Gham Ki Inaayat Nahiin Hoti
Aankhon Se Aansuuyon Ki Rafaaqat* Nahiin Hoti
*Rafaaqat = Companionship, Dosti
Hum Rehbaron Se Iltijaa Karen To Kyon Karen
Dariyaa Ko Raaston Ki Zaroorat Nahiin Hotii
Bhujhta Hai Ai Chiraagh-E-Zindagi To Bhujh Hi Jaa
Ab Ham Se Teri Aur Hifaazat Nahiin Hoti
Hotaa Jo Ghar Ke Aas Paas Aik Mai’kadaa
Rozaana Safar Ki To Museebat Nahiin Hoti
Jaane Yeh Log Kaise Nibhaate Hain Jafaayein
Ham Se To Is Gun_aah Ki Himmat Nahiin Hoti
Patthar Kahuun Use’y To Kis Zabaan Se Kahuun
Pattharon Mein Itnii Nazaakat Nahiin Hoti
Tujhko Gaye Hue To Zamaane Guzar Gaye
Yaad Terii Dil Se Kyon Rukhsat Nahiin Hoti
Jo Bhool Jaaye Tumko, Tum Bhi Usko Bhulaa Do!
“Maikash” Voh Mohabbat To Mohabbat Nahiin Hoti