Dil-O-Dimag Mein Gusa Hai, Gum Hai, Aansun Hain
Beygnaahoun Kaa Khoon, ‘Pak’ Mein Bahaa Hai Ab
Na Jaane Kab Nizaat Paegi Yeh Ruh-E-Zameen?
Qatl-O-Dahsat Ka Kaarobaar Yeh, Thameigaa Kab?
Dahshat-O-Katl Ka Ehsaas Unhain Bhi Hai Ab
Jo, Kaatiloun Ko, Peishtar, Panaah Deyte Thee
Ab Bhi, Mumbai Ke Katiloun Ka Hai Kayam Wahin
Jo Dahshatoun Ke Pairokaar Hain: Wo Hain Zaalim
Ta’alluq Un Ka, Khudaa Sey Nahin, Shaitan Se Hai
Ye Wo Yazid Hain, Jo Un Ko Bhi Karte Hain Tabaah
Jo, Unhain, Takatein De Kar, Gunah Karte Hain
Mujh Lo Umid Hai: Insaan ‘Pak’ Ke Umdah
Naye Hukkamoun-O-Nizaamoun Ko Taakteyn Deinge
Taa Ki, Dahshat-O-Zulm Se Unhain Nizaat Mile
Khun-E-Insaan Bahegaa Kab Talak Wahaan, Ki, Uahaan?