Dil Me Armaan Tha Apni Palkon Se
Teri Rahon Ke Kantein Choone
Apne Dil Ko Jala Kar
Teri Rahon Me Roshni Failaye
Kab Hum Khud Tere Liye Kanta Ban Gaye
Yeh Hume Maloom Hi Nahin.
Tere Dard Ko Yaad Kar
Humari Aankhon Ne Ashq Bahaye
Yeh Chaah Thi Humari
Wah Saare Dard Pe Malham Ban Jaaye
Kab Hum Khud Tere Liye Ek Dard Ban Gaye
Yeh Hume Maloom Hi Nahin.
Betaab The Hum, Tere Jeewan Safar Me
Door Rah Kar Bhi Tere Humsafar Ban Jaaye
Jism To Nahin Lekin Humari Rooh Ke Milan Se
Prakriti Me Amrit Ka Nasha Chaa Jaaye
Kab Hum Tere Liye Amrit Nahin Lekin Zahar Ban Gaye
Yeh Hume Maloom Hi Nahin.
Ab Sirf Ek Hi Tamanna Hai Is Dil Me
Tere Khayalon Me Hum Sada Phoolon Ki Tarah Khile
Teri Rahon Me Humari Parchayee Tak Na Pade
Gheela Hai Sirf Ek Hi Baat Ka,
Humse Khata Kya Huyee
Yeh Hume Maloom Hi Nahin