Dil Ki Doulat Ko Ek Bewaffa Pe Luta Na Chahta Hoon Aaj,
Khud Ke Jism Ko Khuda Ke Hawale Karna Chahta Hoon Aaj.
Dil TohHumara Kabse Dafan Hogaya Hai,
Rooh Ko Pyar Ke Saye Se Bachana Chahta Hoon Aaj.
Lavzon Ne Saath Dia Hai Humara Zindagi Bhar,
Inn Lavzon Ke Naam Apni Zindagi Karna Chahta Hoon Aaj.
Kabar Ki Mitti Se Chupa Liya Hai Humne Khushion Ko,
Dard Ka Haath Pakad Kar Chalna Chahta Hoon Aaj.
Rooh Ke Ghere Dariya Main Doobta Raha Hoon Main,
Issi Dariya Ka Hia Hojana Chahta Hoon Aaj.
Bewaffai Ki Unhone Aisi Ke Toot Gaya Hoon Anginat Tukdon Main,
Pee Kar Khoon Khud Ka Sukun Se Sona Chahta Hoon Aaj.
Laut Na Chahte The Hum Bhi Uss Kali Duniya Se,
Tod Kar Jism Apna Uss Andhere Main Dhalna Chahta Hoon Aaj.
Pee Thi Sharab Humne Bhi Kabhi Ghum Bhoolne Ke Liye,
Woh Hi Ghum Ko Gale Lagana Chahta Hoon Aaj.
Barish Main Bheegna Ek Aadat Thi Humari,
Khuda Ke Inn Baraste Ansuon Main Khub Bhi Rona Chahta Hoon Aaj.
Tadapte Hai Hum Bewaffai Ke Inn Daagon Ki Dekh Kar,
Adhuri Hai Humari Pyar Karne Ki Saza; Isse Bhi Pura Karna Chahta Hoon Aaj.
Bheegi Thi Humari Palkein Aur Aaj Bhi Bheegi Hai,
Inn Dariya Se Palkon Ko Apne Dil Ke Kafan Se Ponchna Chahta Hoon Aaj.
Ladta Raha Hoon Main Iss Beimaan Bewaffa Duniya Se,
Us Bewaffa Ko Pyar Ka Sahi Matlab Sikhana Chahta Hoon Aaj.