Dil Ke Dar-O-Deewaar Se Lipatti Tanhaai
Jii Uthtii Main Aur Mahektii Tanhaai
Raunaq-E-Mahfil Men Tanhaa Mera Wujood
Dil Ke Kissi Kone Men Machalti Tanhaai
Raushan Kiyaa Charaagh-E-Bazm Ko Aansuuon Se
Chamak Uthtii Hai Raat Aur Bikharti Tanhaai
Tere Aane Aur Na Aane Ke Beech Ka Taweel Safar
Kash_ma_kash-E-Intizaar Men Bhatakti Tanhaai
Terii Sheeriinii Men Ghuli Meethii Baaten
Bhatak Gaii Main Naadaan Aur Bahekti Tanhaai
Zamaane Men Hain Kitne Toote, Bikhre Log
Kasmasaate Dil, Naa-Suboor, Tarapti Tanhaai
Veeraanii-E-Dasht Men Sisak Rahii Thii Parchhaayiin
Dekhaa Qareeb Jaa Kar, Main Thii Aur Sisakti Tanhaai
Thak Gaii Hai Aarzoo-E-Umeed, Wafa Ke Deep Jalaaye
Ab Na Aayegaa Vo Rah Gaii Sirf Chhalakti Tanhaai
Yaa Rab, Bulaa Le! Ab Jee Na Lage Teri Dunya Mein
Tarap Rahii Hai “Aarzoo” Aur Sulagti Tanhaai