Dil Dai Tu Ais Mezaj Ka Parwardegar Dai
Jo Ranj Ki Ghadi Bhi Khushi Se Guzar Dai Arz Hai
Ab Har Dam Doondhta Hoon Ranj-O-Gham Jahan Main
Hai Koi Jo Dai Sake To Thoda Dard Hi Mujhe Udhar Dai
Khushi Nahi Hai Mere Naseeb Main Ke Main Ne Ishq Kia Hai
Nahi Hai Ranj Mujhe Dard-E- Dil Woh Mujhe Jo Tar Tar Dai
Ab To Adat Si Ho Gayi Hai Ke Dard Jata Hi Nahi Zindgi Se
Phir Bhi Chahata Hoon Ke Woh Yeh Gham Bar Bar Dai
Aur Kia Kahoon Ke Kuch Bhi Kehne Ko Bacha Nahi Hai
Ashique Hi Wahi Hai Jo Ranjo Gham Main Tamam Umar Guzar Dai