Dhuyein Mein Uda Kar Gam Muskurate Hai
Naakamiyon Ka Yun Maatam Manate Hai
Yeh Shehar Hai Kuch Ajeeb Mijaaz Ka
Patharon Ko Yahan Sheeshe Darrate Hai
Padhne Se Nahin Milte Tajurbe Jindagi Ke
Kitaabon Mein Rakhe Phool Bhool Jate Hai
Kaarwan-E-Jindagi Mein‚  Jate Hai Peeche
Dushwariyon Se Jo Musafir Ghabrate Hai
Khaali Maikhane Rote Hai Apne Haal Par
Haseen Chehre Jab Nazron Se Pilate Hai
Do Roti Naseeb Hoti Nahin Muflis Ko “Kureel”
Aur Siyasat Ke Safedposh Paisa Khaate Hai