Dhundhali Dhundhali Si Shaamo.N Mein
Dabdabaai Adhkhuli In Palako.N Se
Ghane Kohre Mein Zindagi Ko Khete
Main Kabhi Kabhi Yun Hi Chal Deta Hun
Kuchh Tasveerein Aankho.N Mein Bhee.Nche
Baadal Ki Kaali Parto.N Ke Peechhe
Raaho.N Mein Ek Disha Dhoondhte
Main Kabhi Kabhi Yun Hi Chal Deta Hun
Anjaani Duniya Ko Paate Khote
Bache Khuche Sapanon Ko Chunte
Kachche Dhaage Mein Unko Pirote
Main Kabhi Kabhi Yun Hi Chal Deta Hun
Haar Jeet Ke Daanv Pench Se
Sukh Aur Dukh Ki Aankh Meech Se
Main Kabhi Ghabaraake, Kabhi Khush Hoke
To Kabhi Kabhi Bas Yun Hi Chal Deta Hun