Dhoop Ka Safar Chhav Me Thehar Gaya
Kadam Ke Faasale Rahguzar Se Bichhad Gaya
Wasl-E-Nazar Hui Ek Kali Se Baad-E-Sahar
Dopahar Ko Gul Hua Sham Ko Bikhar Gaya
Rahguzar Ka Marasim Manzil Se Hai Ta Umar Ka
Gar Manzil Bhi Karwat Le To Musafir Kidhar Gaya
Meharban Ho Agar Chaman Pe Bahaaran
Dekhte Hi Dekhte Gul Ki Kismat Sawar Gaya
Safar-E-Saman Ab Kyo Halka Hua
Gethri Jo Kholi Dekha Umr Guzar Gaya
Zindagi Dhoop Ki Si Hai Atiq
Jo Sahar Se Chali Sham Ki Chaukhat Pe Thar Gaya