Dhoonda Tumhein Har Bahaar Mein, Sehraa Mein
Milein Aakhirkaar Kisi Ki Bad-Duaa Mein
Dhoowa Uth Raha Hai Naa Jaane Kyun
Shayad Jala Aur Bhi Koi Tumhare Jafa Mein
[Jafa = Zulm/situm/cruelity]
Shama Jal Jal Ke Dekhti Apni Maanda Safar
Intizaar Karoge Hone Kaa Gor Jahaan Mein
[Shama = Candle] [Maanda = Remaining] [Gor = Dafan/2 B Burried In Soil]
Aaj To Lahoo-E-Mashooq Se Chuqur Tumhari Shauhrat
Dooboge Khud Hi Apni Banaayi Duniyaa Mein
[Lahoo-E-Mashooq = Lovers’ Blood] [Chuqur = Gehra/deep]
Nahin Hoga ‘Abdullah’ Tum Se Waabasta Ab
Dhoond Raha Hoon Apna Ashk Bhi Tumhare Darya Mein