Dharti Se Aasman Ko Jo Naap Raha Hai
Ho Kar Khara Zameen Pe Khud Kanp Raha Hai
Aghoosh Main Lipta Hey Naye Saal Ka Manzar
Hoonton Pe Tabasum Hai Jigar Kanp Raha Hai
Han Waqt-E-Sehar Khaab Yeh Dekha Main Nai
Ik Zinda Basher Apna Kafan -Naap Raha Hai
Her Aankh Zamaney Ki Nazar‚  Ho Gayee Logo
Palkoon Ka Shamiyana Kisey Dhanp Raha Hai
Khanjar Bakaf Hey Mera Masiha Maery Andar
Kiyon Zakham Zakham Jism Mera Kanp Raha Hai
Umeed Ki Kirne Kaheen Maadoom Huee Hain
Sooraj Bhi Kaheen Paar-E-Ufaq Hanp Raha Hai
Ley Tu Chala Hoon -ŗburq- Tujhey Janib-E-Maghrib
Saaya Merey Wajood Ko Kyu Dhanp Raha Hai