Dhamaakon Ke Baad Bhi Hoti Hai Chuppi Yahaan
Aakhir Kaun Sune Siski Qahqahon Ke Darmiyaan
Naaz Jis Zameen Pe Karta Tha Ye Saara Jahaaan
Kal Vahaan Dikhi Mujhe Bas Chand Ujri Bastiyaan
Muskura Ke Chal Raha Jo Har Musafir Is Safar Me
Hai Ab Bhi Yaad Use Un Dhamaakon Ki Kahaaniyaan
Dhahak Uthta Hai Ye Dil Jab Dekhta Hoon Kabhi
Lahoo Ke Sailaab Pe Lehraati Noteon Ki Kashtiyaan
Kuch Aisi Ho Chali Hai Reet Apne Vatan Ki Yaaron
Bana Rahe Hum Apnon Ke Cheetharon Ke Bostaan
Har Murde Me Dikhne Laga Hai Ab Apna Aks Mujhe
Har Insaan Ka Jism-O-Dil Ho Chuka Ab -ŗGhayal- Yahaan