Dhalte Suraj Ko Dekhkar Mein Teri Yaadon Kii Dulhan Ban Gayi
Sindouri Rang Jab Maang Par Para Mein Teri Suhagan Ban Gayi
Mere Man Aur Tan Eisse Tarapte Hein Tumhare Iss Lagan Main
Kii Rouh Ab Kaaya Se Kehne Lagi Kii Wo Uss Kii Sautan Ban Gayi
Jiss Pal Se Tum Ne Meri Soorat Ko Jagah Di Apne Chitwan Main
Tab Se Mere Dil Kii Har Ekk Dharkan Tere Naam Kii Jogan Ban Gayi
Ekk Bahane Se Kabhi Sar Jhoukaaya Tha Meine Tere Charan Main
Uss Din Se Eissa Laga Kii Ekk Kangkar Se Mein Kanchan Ban Gayi
Kitni Hi Kathinaaiyan Outhaayi Meine Aane Ko Tere Jeewan Main
Ab Dekho Na! Mein Khoud Hi Apne Uljhan Ki Doushman Ban Gayi
Bahut Hi Chaah Thi Ki Tou Baandhe Wo Rasan Mere Gardan Main
Magar -Ë—bin Phere Hum Tere-‘ Ab Iss Pujaaran Ki Sukhan Ban Gayi
Aaj Badr Raatri To Hai Lekin Ekk Kissi Cheez Kii Kami Hai Gagan Main
Mere Dukh Main Shamil Chaand Jeisse Udaas Kangan Ban Gayi
Sukhan : Alfaaz (Words)
Rasan : Dhaaga (Mangalsutra)
Badr Raatri : Full Moon Night