Dhala Hai Chand Lo Akhir-E-Shab Hai Ab So To Jaayen
Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen
Andheri Raat Mein Roshan Sitara Kis Ne Dekha Hai
Samundar Ke Safar Mein Haan Kinara Kis Ne Dekha Hai
Sanbhal Jaa Aae Dil Ke Tumhein Samjhaaye Jaatey Hein
Kaheen Aisa Na Ho Hum Inki Gehraai Mein Kho Jaayen
Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen
Yeh Chaha Kub Tha Inki Aseeri Chore Jana Hai
Magar Kismat Mein Likha Tha So Likha Tha Humne Mana Hai
Humein Aise Jo Dekhain Gay To Ab Bhi Na Paayen Gay
Na Paas Aao Ke Jaatey Wakt Hum Qurbat Pe Ro Jaayen Gay
Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen
Humara Muskra Kar Alwida Kehna Inhe Bhaaya
Magar Yeh Kia Abhi Se In Mein Saawan Utar Aaya
Inhe Rooko Humare Dil Ka Yun Na Imtihaan Lain Ab
Yeh Baadal Ab Kaheen Mun Ko Humare Na Bhigo Jaayen
Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen
Dua Hai Yeh Sadah Hansti Rahein Roshan Rahein Har Dum
Zamane Bhar Ki Hon Khushian Yeh Na Dekhen Ab Koi Gham
Meri Ankhon K Jugno Bhi Inhi Ki Shaam Mein Chamkein
Khudaya ! Saare Mausam In Mein Rang O Bu Sama Jaayen
Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen