Dhal Jaaye Ye Ik Raat To Aakhir Ye Ayaan Ho
Un Ke Karam Se Zindagi Apni Bhi Ravaan Ho
Aisi Bhi Kya Hai Bebasi Yun Ishq Me Yaaron
Bedard Zamane Me Ik Apna Bhi Makaan Ho

Wo Kaun Hai Jo Samjhe Haseeno Ke Bahaane
Shayar Mere Dil Ko Hi Kyun Aah O Fugaan Ho
Jaayen Kahaan Dhoonde Wo Shab O Roz Dahar Me
Hum Ko Nahi Khabar Kahaan Wo Wasl E Shabaan Ho
Dilli (Delhi) Teri Galiyon Me Jo Din Humne Guzaare
Yaad Aate Hain Har Pal Kabhi Unko Bhi Gumaan Ho
Ho Jaaye Kahin Qatl Jo Ulfat Ka Ye Nishaan
Laut Aayenge Hum Mar Ke Bhi Kal Gar Ye Samaan Ho
Humse Na Pooch Teer E Mohabbat Hai Kya ‘Zafar’
Behtaa Hai Khoon E Dil Jahaan Qatil Ki Kamaan Ho