Dhadkane Jab Badhne Lagein Aur Saansein Bhi Shor Karne Lagein
Nazrein Jab Kisi Ki Nazaron Mein Rukne Lagein
Saare Alam Ki Hulchul Jab Thamne Lage
Aisi Bhi Hoti Hain Khamoshiyaan
Dil Mein Jab Bechaini Badhne Lage
Bin Kahe Sab Kuch Samajh Aane Lage
Saari Duniya Ka Hosh Jab Khone Lage
Aisi Bhi Hoti Hain Khamoshiyaan
Koi Apna Jab Khud Se Door Hone Lage
Kehne Ko Jab Koi Alfaaz Bhi Na Rahein
Kuch Hone Ki Umeed Bhi Khone Lage
Aisi Bhi Hoti Hain Khamoshiyaan
Kisi Ke Sawaal Mein Har Jawaab Nagawaar Hone Lage
Band Aankhon Se Bhi Tasveer Dihayi Dene Lage
Nazrein Jab Ahista Ahista Se Nam Si Hone Lagein
Aisi Bhi Hoti Hain Khamoshiyaan.
Koi Kisi Ke Liye Hai Jeeta
Par Kisi Ko Iski Khabar Bhi Nahin
Ban Ke Hawa Koi Saansein Hai Deta
Aur Kisi Ko Iski Kadar Bhi Nahin
Koi Sajde Lakh Karke Kisi Ke Liye Dua Hai Maangta
Aur Kisi Par Asar Bhi Nahin
Aisi Bhi Hoti Hain Khamoshiyaan
Chahkar Bhi Keh Nahin Payein
Aur Zara Sa Sabar Bhi Nahin
Bas Samajhne Ko Hi Reh Jaaye
Aur Kehne Ko Kuch Bhi Nahin
Aisi Bhi Hoti Hain Khamoshiyaan.