Desh Ladkhadata Aur Bachon Ke Haathon Mein Sharaab Hain
Ghar Se Na Nikalna Tum Shareefon, Zamana Kharaab Hain
Ab Fashion Is Kadar Hua Jaa Raha Hai Bekaabu
Ke Kapdon Se Jhaank Rahi Hai Bahu-Betiyon Ke Aabru
Her Sahar, Sahar Basti, Her Ghar Mein Khun Mila Humko
Langda-Lulha, Gunga-Behra, Andha, Kanun Mila Humko
Bade-Buzurgon Ko Aulaadon Se Hataash Hote Dekha
Khud Ko Apne Desh Ke Banti Laash Pe Rote Dekha
Apne Desh Ke Taqdee Ko Yun Badalte Dekha Maine
Lamha Lamha Insaaniyat Ko Jalte Dekha Maine
Sadkon Par Aatank Ke Nange Naach Ho Rahe Hain
Heeron Ke Humari Buniyaaden Kaanch Ho Rahe Hain
Koi To Sunega Soch -ŗghayal- Ne Uthaai Aawaaz Hain
Dekhte Hain Kaun Aata Saath,Humne Kiya Aagaaz Hain