Derd Ki Atish-E-Bersat Miley Aur,,,,Abhi Gum Thora Hai
Samnder-E-Ashk Hue Kum,,Yun To Bandho Ne Dum Tora Hai
Tarp Ke Lehrey Takrati Hain Dil Ke Sahil Se Jab Kabhi
Her Ghutti Bhawar Me Nishan-E-Anho Ne Sitam Chora Hai

Banaker Makan Sheeshey Ke Pather Parey Khud Per Hi
Kirchon Se Sazi Deewaro Me Darar-E-Marham Jora Hai
Baat Kehni Chahi Jab Bhi,,Lafz Atakey Kharon Ki Tarah
Gulon Ki Chubhti Juban Ne Her Jakhmi Kadam Mora Hai
Kismat Ki Tarajoo Per Jab Tolne Chale Khushiyon Ki Barat
Majboori Ke Palron Ne Her Wazni Weham Ko Tora Hai
Kanch Ke Khamosh Khilono Ki Koi Keemat Nahi Hoti “Sona”
Her Atey Jatey Hathon Ne Julmo Se Reham Phora Hai