Dekhte Hi Unko Meri Nazron Ka Thahar Jaana
Khwab Paane Ke Unko Dil Mein Tamaam Aate Hain
Wo Ada Wo Mizaaj Wo Nazar Ki Had Hi Bas
Tasavvur Bhi Sabhi Mere Unke Naam Aate Hain
Kar Aaye Haal-E-Dil Bayaan Be-Khauf Tabeeyat Se
Ab Dekhte Hain Iske Kya Anjaam Aate Hain
Har Shaqs Be-Sudh Mila Unke Nashe Se Hi
Par Apni Kismat Mein To Khaali Jaam Aate Hain
Le Ke Abhi Armaanon Ko Saath Chalte Hain
Bujhte Chiraag Hain Lekin Safar Mein Kaam Aate Hain
Ho Har Jagah Jiski Shqsiyat Ka Charcha
Wafadaari Ke Us Par Hi Sab Ilzaam Aate Hain
Aaj Mahaul Hai Wo Bhi Hain Hain Hum Bhi Fursat Se
Dekhe Fiza Mein Rang Kya Is Shaam Aate Hain
Judaai Ke Lahze Ko Bhi Dekha Gaya Unme
Jo Milne Ke Unki Or Se Paighaam Aate Hain
Roz Kahna Aaj Unko Bhool Jaayenge Aur
Kar Ke Aankhon Ki Nami Ka Khud Intzaam Aate Hain
Guzaara Ho Kaise Log Kahte Hain Is Mahfil Sajaayi Se
Dekho -Ë—Tanha-‘ Apne Sheron Ke Kya Daam Aate Hain