Dekhta Hoon Apna Aks Aaine Main
Toh Kuch Dararein Bhi Dekh Pata Hoon
Yeh Shayad Bayaan Karta Hai Meri Haqeeqat
Haan Khud Ko Bikhra Hua Pata Hoon Main
Is Akele Kamre Kii Deewaron Main Qaid Hoon
Barish K Pani Sa Ris Ris K Aata Hoon Main
Yeh Bhi Mujhse Parda Nahin Rakhti
Haan Apne Aansuon Ko Chhupata Hoon Main
Is Chaukhat Par Kabhi Darakht Bhi Tha
Jo Hawaon Kii Raftaar Se Dum Tod Gaya
In Hawaon Ne Sargoshi Se Mujhse Bhi Kaha Ood Jao
Par Apne Pankhon Ko Qatra Hua Pata Hoon Main
Bas Ek Tu Hai Aur Teri Yaad Hi Hai
Kii Main Jaisa Bhi Hoon Tu Rehti Mere Saath Hai
Tujhe Bhi Pata Hai Kii Andheron Se Darta Hoon Main
Par Tere Saaye Kii Oat Main Simat Jata Hoon Main
Hoon Bahut Akela Aur Shayad Ghabraaya Hua
Kii Patta Bhi Hilta Hai Toh Saham Jaata Hoon Main
Kii Kaahin Chheen Na Le Duniya Teri Yaadein Bhi Mujhse
Isliye Socha Hai Maine ,Aankh Band Kar K So Jaata Hoon Main