Dekhey The Khaab Tumharey Zaroor Magar Aey Humdum Suno Zara
Tum Aek Jurm Ke Waastey Mujhey Baar Baar Sazaa Na Do
Jo Dil Ka Meet Ik Baar Baney Wo Dil Ke Paas Hi Raha Karey
Jisey Faaslon Sey Khauff Ho Usey Door Jaa Ke Sadaa Na Do
Koi Humsafar Gar Raah Nein Bhaley Manzil Apni Badal Bhi Le
To Dil Sey Usko Bhulao Mat Nazar Sey Us Ko Giraa Na Do
Jo Azeez Rakhey Tumhey Jaan Sey Usey Berukhi Sey Thukrao Mat
Koi Khaab Buney Gar Pyar Sey To Khaak Mein Usey Mila Na Do
Koi Paas Aey To Milo Usey Koi Dil Ki Kahey To Suno Usey
Gar Iqraar Karey Koi Pyaar Ka To Hansi Mein Usko Urra Na Do
Waqt Ke Haathon Haar Kar Jo Phir Raha Ho Dar-Badar
Jisey Justuju Ho Maot Ki Usey Zindagi Ki Duwa Na Do