Dekh Kar Us Hasiin Paikar Ko
Nashaa-Saa Aa Gayaa Samandar Ko
[Paikar = Form/appearance]
Dolatii Dagmagaatii-Sii Naav
Pii Gaii Aa Ke Saare Saagar Ko
Khushk Pedon Men Jaan Padane Lagii
Dekh Kar Ruup Ke Samandar Ko
[Khushk = Dry]
Bahar Pyaase Kii Justajuu Men Hai
Hai Sadaf Kii Talaash Gauhar Ko
[Bahar = Ocean; Justajuu = Search]
[Sadaf = Oyster; Gauhar = Pearl]
Koii To Niimvaa Dariichon Se
Dekhe Us Ratjage Ke Manzar Ko
[Niimvaa = Half-Open]
Ek Devii Hai Muntazir ‘Faarig’
Vaa Kiye Pat Sajaaye Mandr Ko
[Muntazir = Waiting; Vaa = Open]