Dekh Kar Mein Usay Dekhti Reh Gai
Zindagi Mein Laga, Ik Kami Reh Gai
Phool Yun To Meray Char Janab Hi Thay
Khushboon Ko Magar Dhundati Reh Gai
Phir Hawa Dastakon Mein Machalnay Lagi
Phir Mein Dehleez Pay He Kharri Reh Gai
Aik Masoom Khahish Ka Soda Hua
Aik Khahish Si Dil Mein Dabi Reh Gai
Phir Say Mausam Badalnay Laga Aik Dam
Phir Mein Lehja Tera Sochti Reh Gai
Tujh Ko Dekhay Bina Bhi Sakun He Na Tha
Tujh Ko Pa Kay Bhi Kuch Dhundti Reh Gai
Mujh Say Paani Ki Malka Nay Itna Kaha
Zeest Mein Piyar Ki Tishnagi Reh Gai
Hath Us Ka Barha Dosti Kay Liye
Or Adawat Ki Lambi Gharri Reh Gai
Raat Palkon Pe Barish Ki Dastak Hui
Or Ankhon Mein Teri Shabih Reh Gai
Phool, Bulbul Kay Naghmay He Sunta Raha
Or Khushbu Khizan Bolti Reh Gai
Raz Ankhein Sabhi Fash Karti Rahein
Or Honton Pe Chup Si Parri Reh Gai
Ya To Sajnay Sajanay Ki Fursat Na Thi
Ya Phir Honton Pe Surkhi Saji Reh Gai