Deedaar-E-Dil Ki Raat Mein Chiraagh Sa Jala Gaya
Milla Nahien To Kya Hua Woh Shakal To Dikkha Gaya
Judaiyoun Ka Zakham Zindagi Ne Bhar Diye
Usey Bhi Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabbar Aa Gaya
Woh Doosti To Khair Ab Naseeb-E-Dushmana Hui
Woh Chooti Chooti Ranjishyoun Ka Lutf Bhi Challa Gaya
Yeh Subha Ki Safediyian Yeh Dopehar Ki Zardiyian
Mein Aainey Mein Dhoondta Hoon Mein Kahaan Challa Gaya
Yeh Kis Khushi Ki Rait Par Ghammoun Ko Neend Aa Gayi
Woh Lehr Kis Taraf Gayi Yeh Mein Kahaan Samaa Gaya
Jo Aur Kuch Nahien Tou Koi Taaza Dard Hi Milley
Mein Ek Hi Tarha Ki Zindagi Se Tang Aa Gaya
Aaye Dillon Ki Laash Par Pardtey Raho Gey Kab Talak
Alm Kasho Uttho Kay Aaftaab Sar Pe Aa Gaya