Daur Aisa Hai Jismein Na Ho Bhai – Bhai Ka ;
To Gila Kya Karoon Phir Teri Bewafai Ka.
Yaar Mujhmein Hai Mai Yaar Mein Hoon:
Wo Tazgi Hai Bahar Mai Hoon:
Ger Wo Dariya Hai To Dhar Mai Hoon:
Wo Ger Hai Sadaa To Pukaar Mai Hoon:
Mayaan Wo Hai Talwaar Mai Hoon:
Shukun Wo Hai To Karar Mai Hoon:
Umeed Wo Hai Aasar Mai Hoo:
Wo Hai Kurbaan To Nisar Mai Hoon
Wo Jahaan – Jahaan Mai Wahaan Wahaa;
Wo Mere Aaspas Meremdarmayaann.
To Sawal Utha Kahaan Se Teri Judai Ka
To Gila Kya Karoon Phir Teri Bewafai Ka.
Der-E-Rushwai Se Mai Uske Rubaroo Na Gaya:
Tadapta Raha Mager Leke Aabroo Na Gaya:
Wade Usne Bhi Kiye Per Wo Hubahoo Na Gaya:
Per Mere Dil Se Tere Pyar Ka Lahoo Na Gaya:
Jane Q Chhor Ker Mai Teri Justzoo Na Gaya:
Aadatein Sab Chali Gayee Aser-E-Khoon Na Gaya:
Jane Kya Baat Meri Aankh Se Aansoo Na Gaya:
Aankhein Din – Raat Dhuli Hain Mager Lahu Na Gaya:
Merte – Merte Tere Gum Uthaye The Phir Bhi….
Meri Mayiyyat Pe Sabhi Aaye Mager Tu Na Gaya :
Ek Taraf Lutf-E-Mohabbat Udher Izzat Ka Sawal.
Ek Taraf Zindagi Aur Ek Taraf Zannat Ka Sawal.
Maat Na Khate Jo Der Na Hota Teri Rushwai Ka
To Gila Kya Karun Phir Teri Bewafai Ka