Dastaan-E-Ishq Main Ham Jaane Kab Kya Keh Gaye
Sab To Uth Kar Chal Diye Ham Sochte Hee Reh Gaye
Unki Chahat Unkii Ulfat Aur Kuch Unki Dillagii
Bin Kiye Ham Koi Shikwaa Har Inaayat Seh Gaye
Rooh Ko Dard Sehne Ki Kyun Yeh Ab Aadat Sii Hain
Binaa Soche Raqiib Ko Raazdaan Kyun Ham Keh Gaye
Aks Barbaadiiyon Ke Ankhon Main Chupa Rakhe The Jo
Jaane Kis Roz Aansuon Ke Sahlab Main Vo Beh Gaye
Terii Navaazish-E-Mukhtsar Ho Gar Meri Taqdeer Main
Hoga Tu Mera Chaaraagar Yeh Soch Kar Sab Seh Gaye
Voh Daraaz_dast Hai To Hame Har Sazza Manzoor Hain
Iss Hi Fareb Mai Khud Ko Har Ilzaam Dete Reh Gaye
Unki Tu.Ndii-E-Khuu Kaa `manu`ko Gham Nahin Koi
Ham To Unki Har Inaayat Ke Qaail Ho Kar Rah Gaye