Dasht Mein Ik Talism-E-Aab Kay Sath
Door Tak Ham Ga’ey Sarab Kay Sath
Phir Khizan Aa’ei Aur Khizan Kay Baad
Khaar Khilnay Lagay Gulaab Kay Sath
Raat Bhar Toot’ti Huwi Neendein
Jur Gaein Sehr-E-Mahtab Kay Sath
Hamm Sada Ki Tarah Bujhay Huway Thay
Woh Tha Pehli Si Aab-O-Taab Kay Sath
Chhoti Umron Ki Pehli Pehli Baat
Kuchh Takalluf Say Kuchh Hijab Kay Sath
Aur Phir Yeh Nigah-E-Kheera Bhi
Doob Ja’ey Gi Aaftab Kay Sath
Raat Ki Tashtari Mein Rakhi Hain
Meri Aankhein,Kisi Kay Khwab Kay Sath
Us Gali Mein Na Ko’ei Kesay Ja’ey
Shaam Ko Is Dil-E-Kharab Kay Sath
Yeh Faqat Rasm Hi Nahin Ay Doast!
Dil Bhi Shamil Hai Intasab Kay Sath