Dariya-E-Ashk Mai Jeewan Ke Kinare Nazar Nahi Aate
Haste Chehre Ke Peeche Daga-E-Yaar Nazar Nahi Aaate
Jalte Hue Chirago Ki Roshni Faili Ho Door Tak Chahe
Dhadakte Dil Mai Jhakhmon Ke Nishan Nazar Nahi Aate
Ye Chehakti Galiyan -Â… Har Dal Lehrati Hai Phoolon Se
Mehakte Phoolon Main Kanton Ke Asaar Nazar Nahi Aate-Â…
Jamoon Main Doobe Madhosh Yaar Mile Mehfil Main
Nasheeli Aankhon Main Khak-E-Khwab Nazar Nahi Aate
Har Shaksh Masroof Hai Raftar-E-Jindgi Main Is Kadar
Rah-E-Manjil Main Toote Armaan-E-Yaar Nazar Nahi Aate
Umra Ke Har Mod Pe Mile Anginat Dhoke E Jamane
Shukra-E-Khuda Hai Hum Chita Main Jalte Nazar Nahii Aate
Mohbbat Ki Khusbu Se Fiza To Rageen Mili Har Lamha Hume
Daman-E–Å—saccha_pyar- Pakde Log Phir Kyun Nazar Nahi Aate