Dard Ye Sara Kah Kar Bhee, Kaisi Ye Bekarari Hai
Sare Ansu Baha Diye Par, Ankh Abhi Bhee Bhari Hai
Sailabe Asq Main Bhee Jo, Taswir Kahin Tumahri Hai
Ham Ko Paar Lagayegi Wo, Kashti Wahi Hamri Hai
Dil To Pahale De Chhuke, Ab Zindgi Ki Bari Hai
Tu Mile Na Mile Hame, Apni Puri Tayari Hai
Jan Hame Jab Doge Tum, Tab Kee Tab Hee Dekkhenge
Kahane Sunane Main Lekin, Bat Bahut Hee Pyaree Hai
Kaza-Ozindgee Ke Aage, Har Shakhs Hi Bhikaree Hai
Marna Bhee Mushkil Hai, Aur Jeena Bhee Lacharee Hai
Ashk Jo Zahir Kar Den Tab Hee, Gum Kee Kimat Ayegi
Is Deewani Duniya Ka Sara, Karobar Ishtehari Hai
Teree Zafa Teri Wafa Main, Kya Raklen Aur Kya Choren
Dil Bata Too Hee Tujh Ko, Kaun Shee Sheh Kam Pyari Hai
Mujh Ko Gamgin Dekh Ke Tune, Ansu Kayon Bahaye Hain
Kaun See Aag Laganee Hai, Ye Kaun See Chingari Hai
Wafa Kee Baat Karoon To Wo, Shifa(Ilaz) Kee Bat Karte Hain
Un Kee Nazar Main Aaj Bhee, Ishq Koyee Beemaree Hai
Mere Ye Ansu Thukra Ke Ab, Woh Jane Kis Aur Gaye
Jate Jate Itana Bole Ye, Jheel Bhee Ab To Kharee Hai
Abhee Un Pe Marne Do, Baad Main Me Jee Bhee Lunga Kal
Jeene Jaisi Baton Pe, Kyon Itni Maramaree Hai
Un Ko Jan Gaye Jab Se, Jan Ye Un Main Hee Rahti Hai
Itana Kab Main Janata Hun Ki, Jan Ksie Ab Pyari Hai
Jan Se Bhee Jo Pyara Tha, Ham Sath Na Us Ke Ja Paye
Azad Nahee Jab Tak Ham Pe, Sasnon Kee Paharedari Hai
Marne Kee Tum Baat Karo To, Hansi Hame To Atie Hai
Dard Hame Bhee Milta Hai, Tanha Bhee Raat Guzari Hai
Kulee Nahee Milta Koyee, Khud Hee Ye Bojh Uthana Hai
Duniya Se Phir Kyon Bolen, Dard Bahut Hee Bharee Hai
Too Sadmat Detee Ja, Mujh Ko Bhee Tay Kar Leane De
Teree Kitnee Tayaree Hai, Meree Kitnee Tayaree Hai
Gam Kee Kalam Lagayi Thee, Ansoo Ke Phool Khile Hain Ab
Tere Joore Ko Ras Nahee, Ye Zakhmon Kee Phulwari Hai
Too Ham Ko Na Mila Kabhee, Lekin Ham Zinda To Hain
Main Jo Tujh Se Har Gaya, Too Bhee Mujh Se Haree Hai
Hal Nahee Jis Ka Koyee Us Par Charcha Ka Kya Manee
Kaise Din Kata Hai Hamne, Kaise Shabehizr Guzaree Hai
Pahlee Baar Huya Hai Aisa, Ro Kar Bhee Chain Mila Nahee
Ankh To Halkee Hai Ab Lekin, Dil Abhee Tak Bahree Hai
Dard Mile Har Din Naye,Tab Bhee Ham To Zinda Rahe
Gamehizr Main Na Jan Gayee, Kaise Ham Ko Beemaree Hai
Beetee Hai Shab-E-Hizr Abhee, Na Meethi Meeethi Bat Karo
Neend Se Jag Gaya Lekin Bakee Abhee Khumaree Hai
Meree Wafa Bhee Khata Meree, Teri Khata Pe Hai Eenam
Main Kyon Itana Sada Hoon, Tu Kyon Itnee Pyari Hai
Kitne Hee Rang Mile Is Me, Kitnee Hee Khushbu Payi Hai
Masum Jo Kah Dalee Tune, Ghazal Nahee Phulwari Hai