Dard To Rukne Ka Ab Naam Nahi Leta Hai
Sabar Se Dil Bhi Mera Kaam Nahi Leta Hai
Jab Se Bakshe Hain Meri Aankhon Ko Aansoon Tune
Tab Se Deewaana Dil Araam Nahi Leta Hai
Itna Sang Dil Hai Ke Barbaad Karke Bhi Mujhko
Apne Sar Koi Bhi Ilzaam Nahi Leta Hai
Ye Inayatein Bhi Kam Nahi Mere Harjaai Ki
Zakham Deta Hai Magar Daam Nahi Leta Hai
Khauf-E-Ruswaai Se Darta Hai Bahoot Wo “Ishrat”
Wo Mera Naam Sar-E-Aam Nahi Leta Hai