Dard Mandaan-E-Ulfat Ki Lachaari Magar Hans Diye
Gham-E-Hijraan Ki Aah-O-Zaari, Magar Hans Diye
Wo Mere Ho Kar Bhi Na Huye Mere…
Honthon Pe Dil Ki Be-Qaraari, Magar Hans Diye

Din Bhar Kiye Intezaar Shab-E-Wasl Ka
Ta-Shab Kiye Akhtar Shumaari, Magar Hans Diye
Zer-E-Lab-O-Rukhsaar Tanhaaii O Viraane Thhe
Nazzron Mein Chupaa Dast Bar Daari, Magar Hans Diye
Sone Lagaa Hai Dard, Aa-Â… Ke Roshni Bhi Hai Kam
Larazti Palakon Ki Ashk-Baari, Magar Hans Diye
Kasam Hai Dam Niklega, Meri Jaan Aao Tau Sahi
Dekh Iss Dil Ki -Ë—parastaari-‘, Magar Hans Diye