Dard Ko Dekh Dard Mein Kho Gaye Tha Hum
Jaan Bujh Aankho Ko Band Kar Liye Tha Hum
Din Ki Roshani Dikhati Nahi Thi Mujhako
Har Fiza Ko Kaala Kah Gaye Thay Hum
Waqt Ke Safar Me Har Mausam Aate Jaate Hai
Is Mausam Ko Nahi Pehchaan Paaye Thay Hum
Bhool Gaye Thay Aaj Dard Kal Khushi Bhi Hogi
Ki Aaj Me Kal Ko Bhoola Gaye Thay Hum
Chot Lagati Nahi Kisako,Safar Me Yaaro
Ye Baat Dard Me Bhool Gaye Thay Hum
Gulaab Ka Rangeen Rang Dikhata Nahi Tha
Ki Laal Rang Ko Bhi Kaala Kah Gaye Thay Hum
Samundar Ke Leharo Ka Rang Neela Hi Tha
Ki Us Rang Ko Bhi Kaala Kah Gaye Thay Hum
Jin Patto Ko Dekh Dekh Ke Man Hara Jo Jaata Tha
Un Patto Ko Bhi Kaale Rang Me Dekhate Thay Hum
Wo Aasmaan Jaha Jaane Ki Tammana Thi
Us Tammana Se Kitane Bichad Gaye Thay Hum
Din Ko Bhi Din Nahi Samajh Rahi Thi Ye Aankhe
Ki Ujaale Ko Andhera Samajh Gaye Thay Hum
Dard Ko Dekh Dard Me Kho Gaye Thay Hum
Jaan Bujh Aankho Ko Band Kar Liye Thay Hum
Ye Do Aankhe Nahi Thi Iska Matlab Ummeed Se Jagmagaana..
Bas Jab Nayi Ummeed Milati Hai Ek Josh Milta Hai To Aankhe Khul Jaati Hai—
Mausam Badala Waqt Badal Ummed Ki Kiran Aayi
Har Rang Ko Aaj Rangeen Fiza Me Paate Hai Hum
Gulaab Jo Kaala Dikh Raha Tha Humko
Naye Rangeen Rang Me Usako Paate Hai Hum
Samundar Ki Wo Lahare Pyaari Lag Rahi Hai Mujhako
Aasmaan Me Bhi Fir Se Ud Jaana Chahate Hai Hum
Rang Patto Ka Aankho Me Basa Le
Raat Me Bhi Din Ka Ujaala Paate Hai Hum
Jindagi Ki Har Raat Aayegi Jaayegi
Aaj Waqt Ki Garima Samajh Paaye Hain Hum