Dard Ki Shehnai Gaa Rahi Hai Ye Kaisi Gazal,
Toote Armaan Dhunde Kyun Andheri Dagar,
Lakeeron Se Likha Aansuon Ne Chehre Par,
Yaad Na Aaye Teri Ho Koi Aisa Bhi Manzar,
Kyun Chup Gaya Chand Ko Thaame Asman,
Kyun Khoje Sitare Gardish Mein Uthti Nazar,
Patte Bikhar Kar Kyu Hone Lage Ghayal Aise,
Tamanna Ki Shaaq Se Hue Armaan Tarbatar,
Dikhta Hai Koi Raat Ke In Andheron Mein Bhi,
Rok Is Khayal Ko Dil Chal Tu Ab Sambhal Kar,
Halchal Ret Ki Dewaron Se Hoti Nahi Ab Hume,
Saaye Se Dar Lage Jo Chhod Te Hai Beech Safar,
Khayal Gar Rukte Rokne Se Kisi Ke To Shayad,
Yeh Dil Na Padta Pyaar Mein Khane Ko Thokar,
Wada Kiya Tha Maine Khushi Dene Ka Use Par,
Diya Kuch Nahi Use Siwai Aansu Charo Peher,
Badal Ne Ki Bhi Kohsish Ki Thi Humne Khudko,
Kismat Ne Kaha Ke Tu Ab Is Dard Se Hi Dil Bhar,
Dard Ki Shehnai Gaa Rahi Hai Ye Kaisi Gazal,
Toote Armaan Dhunde Kyun Andheri Dagar