Dard Ki Dasta Yu Sar-E-Mehfil Sunai Nahi Jati
Dil Main Lagi Aag Ashko Say Bhujhai Nahi Jati
Peenay Walon Say Poocho Unki Pyaas Ka Aalam
Kabhi Thukratay Hai Sagar Kabhi Ik Boond Thukrai Nahi Jati

Ishq Main Jalnay Walon Ko Aksar Yeh Kehtay Suna Hai
Yeh Aatish Khud He Lag Jati Hai Lagai Nahi Jati
Dard Ik Roz Bhar Kay Khud He Dawa Ho Jayega
Yu Sar-E-Aam Zakhmo Ki Numaish Lagai Nahi Jati
Tere Gham Ki Chadar Jis Din Say Maine Ordh Rakhi Hai
Us Din Say Koi Bhee Khushi Tan Say Lagai Nahi Jati
Din Kay Ujalay Main Yadon Kay Naqsh Or Gehra Jatay Hai
Raat Kay Andhary Main Bhee Unki Parchai Nahi Jati
Mat Ragro Mere Dil Ko Kisi Pathar Par Yaro
Itni Asani Say Tasveer-E-Jana Mitai Nahi Jati
Unkay Intzar Main Khoon-E-Jigar Say Chirag Jala Rakha Hai
Umeedon Ki Yeh Shama Jal Jaye To Phir Bhujhai Nahi Jati
Thak Kar Choor Ho Chukay Qadmon Ko Kabhi Bhee
‘Veer’ Kisi Nayi Manzil Ki Rah Dikhai Nahi Jati