Dard Ka Junoo Jakhm Ka Pagal Pan
Baichanee Ka Nasha Aisa Hai Meena Ka Man
Aisa Hai Pagal Pan
Is Junon Se Bahar Layoon Kaise
Us Ka Dard Main Churayoon Kaise
Duyaon Ke Daman Ke Neeche
Us Ke Zakhm Chipayoon To Chipayoon Kaise
Zameen Par Haar Gaye Ham Sab
Asman Wale Tera Dakhal Lazmee Hai
Us Ke Ansoo Bhee Hata Nahee Sakta?
Too Kaisa Adamee Hai? Tujh Ko Maloom Hai?
Us Ke Ek Dard Se Kis Kis Dil Men Tees Ubhartee Hai
Tujhe Maloom Hai
Us Kee Ek Aah Se Kis Kis Kee Ankh Bhartee Hai
Chalo Ye Kcuh Na Bhee Pata Hao Tujh Ko
Tujhe Ye Maloom Hai Sham Sawre Tera Nam Padhtee Hai
Aur Too Use Sirf Dard Aur Thoda Sa Hosla Deta Hai
Rahton Se Hamesha Bas Ek Fsala Deta Hai
Mere Ram Mere Maoula Us Ke Dard Ka Ilaz Kar
Main To Be Awaz Hoon Too Hee Kuch Awaz Kar
Ki Ab Saha Nahee Jata Lafz Mere Doob Gaye Hain Ansu Men
Hath Jode Hain Maine Aur Kuch Kaha Nahee Jata
Meree Khamsohee Ko Samjh Le
Us Ko Us Kee Kalam Wapis Kar De
Us Ke Lahoo Se Dard Hata Ke
Thodee See Phir Se Ab Syahee Bahr De
Use Achha Kar De
Mere Ram Achha Kar De