Dard Ka Ab Hamse Hisaab Rakhaa Nahin Jaata
Hain Behisaab Gham Ab Ginaa Nahin Jaata
Tadap Tadap Ke Hii Dam Todtey To Kya Bura Tha
Har Dam Yun Maut Ki Intzaar Main Mara Nahin Jaata

Dil Se Sabko Daulat-E-Jahan-O-Jaan Huay Pyaare
Ba-Muhabaat Ab Khamkhwah Koi Mara Nahin Jaata
Hai Dard Dil Main Aur Phir Chhati Pitein Ham
Yuun To Kahin Zakhm Koi Bhara Nahin Jaata
Uskii Nazrein Phool Barsaayein Sar-E-Mehfil
Ik Merii Taraf Hi Usse Kyon Dekhaa Nahin Jaata
Yaa Khudaa! Maut Na De Aankhein Hi Chhiin Le
Ab Ye Rashk-O-Gham Ka Jahan Dekhaa Nahin Jaata
Kahte Ho Dil Sambhaalo ‘Ghaafil’, Par Sambhaale Kaun
Dil Se Jab Khud Ko Judaa Kiyaa Nahin Jaata