Dard-E-Dil Ka Ye Safar Tanhaion Ko Kitna Khaas Hai
Ahle’e’jahan Uska Hai Par Khuda Mere Saath Hai
Zindagi Hum Jeete Hain Aise Andaaz Kabhi Badalte Nahi
Junoon Se Hi Darte Hain Raaz Ye Hamare Sabr Ke Paas Hai
Unhe Chot Na Lage Hum Harf Aankh Band Kar Hain Likhte
Aur Mehfil Me Unhi Ke Haath Me Sang Sabse Dhaardaar Hai
Namumkin Hai Lautna Sitamon Par Uff Bhi Na Kahenge
Dekhen Zara Hum Bhi Hamara Daman Kitna Daaghdaar Hai
Ruswa Karne Ki Tabiyat Humne Paayi Bhi Jo Hoti
Saleeka’e’aakbat Phir Bhi Khaamiyun Ke Paas Hai
Raham Haal Par Hamare Kah De “Kaash” Koi Na Kare
Tujhe To Khud Hi Ek Muddat Se Apni Talaash Hai